Kali Kali Zulfon Ke Phande Nah Dalo

Nusrat Fateh Ali Khan

Husn vaale vafaa nahin karte
Ishq vaale daghaa nahin karte
Zulm karnaa to inki aadat hai
Ye kisi kaa bhalaa nahin karte

These pretty ones are not faithful
But the lovers do not cheat
Tyranny is their of pretty ones habit
And they never benefit anyone

Jo nazar aar paar ho jaaye
Vo hi dil kaa qaraar ho jaaye
Apnii zulfon kaa daal do saayaa
Tirgi khush gavaar ho jaaye
Teri nazron ko dekh paaye agar

Sheikh bhi mai gusaar ho jaaye
Tujhko dekhe jo ek nazar vo rang
Chaand bhii sharm saar ho jaaye
Aaiinaa apne saamne se hataa
Ye na ho khud se pyaar ho jaaye

The glance that pierces through
Tranquilizes the heart
Spread the shadows of your tresses
To make darkness pleasant

If a pious person are able to see your glances
He would also become intoxicated
If it sees you for an instant
The moon would feel ashamed
Remove the mirror from your front
Else you may fall in love with yourself

Phuul ho jaatii ho yun taish me aayaa na karo
Faasile khatm karo, baat barhaayaa na karo
Ye nigaahen, ye ishaare, ye adaayen, taubaa
In sharaabo ko sar-e-aam lutaayaa na karo

Shaam gahri ho to kuch aur hasin hoti hai
Saayaa-e-zulf ko chehre se hataayaa na karo

Read more: Nusrat Fateh Ali Khan - Kali Kali Zulfon Ke Phande Nah Dalo Lyrics | MetroLyrics


Zdroj: http://zpevnik.wz.cz